Mene pehle jo bag order kiya tha wo damaged tha, lekin Astore ki team ne bohat cooperate kiya aur bina kisi extra delivery charge ke mujhe free exchange kar ke naya bag bhijwaya. Mera naya bag mujhe mil gaya hai, is ki quality aur packing bohat kamaal ki hai! Itni zabardast customer service aur fast replacement ke liye bohat shukriya. Highly recommended! ❤️